Saturday, January 7, 2017

Aajata ha Tassawur mein milne woh Sar-e-Shaam




Aajata ha Tassawur mein milne woh Sar-e-Shaam

Us Shakhs ki itni si inayat bhi bohat Hai.

Friday, January 6, 2017

Sar-e-aaina mera aks hai







Main Khayal hu kisi aur ka 
Mujhe sochta koi aur hai 
Sar-e-aaina mera aks hai 
Pas-e-aaina koi aur hai 

Main kisee ke dast-e-talab mein hoon 
To kisee ke Harf-e-Dua mein hoon 
Main Naseeb hoon kisee aur ka 
Mujhe Maangta koi aur hai 

Kabhee laut aaye to poochna 
Naheen dekhna use Ghaur se 
Jinhe Raaste pe khabar huee 
Ke ye Raasta koi aur hai 

Tujhe dushmanon kee khabar na thee 
Mujhe doston ka pata na tha 
Teree daastaan koi aur thee 
Mera wakiya koi aur hai

Thursday, January 5, 2017

jinke akhlaq acche or kirdar umda ho

jinke akhlaq acche or kirdar umda ho unki sohbat talash karo zaruri nahi jinke ird gird bheer jama ho wohi sahi ho bheer to khel dikha ke madari bhi jama karleta hai

Maang Rahe ho Mujh se Rukhsat Aur




Maang Rahe ho Mujh se Rukhsat Aur

Khud he Haath mein Haath liye Bethe ho

Faisla tha Logo'n ka




Faisla tha Logo'n ka...

Zaat______Teri Meri Thi.... 

1985 FA Cup Third round: Burton Albion v Leicester City

When Northern Premier League Burton Albion were drawn against Division One Leicester City in the 1985 FA Cup third round, on paper it appeared to be a romantic tie. The typical David v Goliath clash, the outside chance of a shock, and a day in the spotlight for the part-timers of Burton, provided all the classic ingredients required for this stage of the FA Cup. Sadly, the fixture ended up making headlines for all the wrong reasons.
Read more �

Koocha-e-Yar mein hoga Kahin Masroof-e-Tawaf





Koocha-e-Yar mein hoga Kahin Masroof-e-Tawaf

Dil Agar Seenay me hota to Dharaktaa Hota..
© POETRY LOVERS
Maira Gall