Tuesday, January 21, 2014

Sochte hain Likh dain teri Masoomiat pe Kitaabain




Sochte hain Likh dain teri Masoomiat pe Kitaabain 

"Wasi"

Dar lagta ha k phir Har koi tujhe paane ka talabgar na ho jaye


Monday, January 20, 2014

Yaad_e_Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye




Yaad_e_Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye
Is Say Behtar Hai Kay Har Baat Bhula Di Jaye

Jis Se Thorri C� Umeed Zyada Ho Kabhi
Aise Har Shama Sare-E-Sham Jala Di Jaye



Main nay Apno Kay Rawayon Say Ye Mehsoos Kiya
Dil Kay Angan Mai Bhi Dewaar Utha Di Jaye

Mai Nay Yaroon Kay Bhicharne Say Ye Seekha �MOHSIN�
Apne Dushman Ko Bhi Jeene Ki Dua Di Jaye


Kaha tum ne mujhe dil se bhula do tum











Kaha tum ne mujhe dil se bhula do tum! 
mita do tum! 

Chalo main maan leta hoon, 
Tumhain main apne is dil se, 
Bhula doon ga mita doon ga! 

Magar ik kam to kar do! 
K darya k kinaron ko kisi surat mila do tum! 
Sitare tor kar la do, 

Ya phir is phool se khushbu juda kar k dikha do tum! 

Suno! tum kar bhi lo aisa! 
Kinare jor bhi lao, 
Sitare tor bhi lao, 

Chaman k sare phoolon se, 
Juda khushbu ko kar bhi do 
Magar main tum ko is dil se mita phir bhi 
nahi sakti... 

Suno! Main marr to sakta hoon! 
Bhula phir bhi nahi sakta


Maqroz K Bigry Huway Halaat Ki Manid





Maqroz K Bigry Huway Halaat Ki Manid
Majbor K Honto Pa Sawalat Ki Manind

Dil Ka Teri Chahat Mein Ajb Hal Huwa Hai
Seilaab Sy Barbad Makaanat Ki Manind

Main Un Meinn Bhatkty Huway Jugno Ki Tarah Hun
Us Shaks Ki Aankhien Hein Kisi Rat Ki Manind

Dil Roz Sajata Hun Main Dulhan Ki Tarah Sy
Gham Roz Chly Aty Hn .. Baraat Ki Manind

Ab Ye Bhi Nhe Yad K Kiya Naam Tha Uska ?
Jis Shaks Ko Manga Tha Manajat Ki Manind

Kis Darja Muqadas Hai Tery Qurb Ki Khahish
Masoom Sy Bachy K Khayalat Ki Manind

Us Shks Sy Milna Ab Mumkin Hi Nhe Hai
Main Pyas Ka Sehra Hn Wo Barsaat Ki Manind



Sunday, January 19, 2014

Tumhe Jab Kabhi Mile Fursaten, Mere Dil Say Boojh Utar Do





Tumhe Jab Kabhi Mile Fursaten, Mere Dil Say Boojh Utar Do
Main Bhut Dino Say Udaas Ho, Mujhe Koi Shaam Udhaar Do

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do, Ke Chamak Sake Mere Khal-O-Khad
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do, Mere Sare Zang Utar Do

Kesi Aur Ko Mere Haal Say Na Garz Hai Koi Na Wasta
Mian Bikhar Gya Ho Sameet Loo, Main Bigar Gya Ho Sanwar Do

Meri Wehshaton Ne Barha Dia Hai Judaiyo Ke Aazab Ne
Mere Dil Pa Hath Rakho Zara, Meri Dharkano Ko Qarar Do

Tumhe Subha Kesi Lagi?,Mere Khawahisho Ke Diyaar Ki
Jo Bhali Lagi Tw Yahi Raho, Esy Chahato Say Nikhaar Do

Wahan Ghar Mein Kon Hai Muntazir K Ho Fikar Deer Saweer Ki
Bari Mukhtasir Si Yeh Raat Hai, Esi Chandni Mein Guzaar Do

Koi Baat Karni Hai Chand Say Kesi Shaksaar Ki Uoot Mein
Muje Rasten Yehi Kahin Kesi Kunj-E-Gul Mein Utar Do




Tum aaj kuch bhi na poocho ki dil udaas bahut hai





Na deed hai, na sukhan hai, na harf hai, na payaam
Koi bhi hilaa-e-taskeen nahin aur aas bahut hai

Ummeed-yaar, nazar ka mizaaz, dard ka rang
Tum aaj kuch bhi na poocho ki dil udaas bahut hai



Mujhe Tum Yaad Aati ho




Mukadar k sitaro'n per
Zamane k isharo'n per 
Udasi k kinar'n per
Kabhi Weraan Sehra mein
Kabhi Sunsaan raaho'n mein
Kabhi Heraan Aankho'n mein
Kabhi be jaan lamho'n mein
Tumhari yaad hole se
Koi Sargoshi krti hai
Ye palkei'n bheeg jati hain
Wo Aansu toot girte hain
Mein Palko'n ko Jhukata hun
Bazahir muskurata hun
Fakat itna he kehta hun
mujhe kitna satati ho
Mujhe tum yaad aati ho
Mujhe tum yaad aati ho



© POETRY LOVERS
Maira Gall