Thursday, January 9, 2014

Wo jo kehta tha Ishq me kia Rakha hai





Wo jo kehta tha Ishq me kia Rakha hai

Ik heer ne usko Raanjha bana Rakha hai..




Jala hai Jism jaha'n Dil bhi jal gya hoga




Jala hai Jism jaha'n Dil bhi jal gya hoga
Kureedte ho jo ab raakh Justaju kia ha??

Raago'n me dorte phirne k hum nahi Qail
Jab Aankh se he na tapka to Lahoo kia ha??


Itne zalim na bno kuch to murawatt sikho




Itne zalim na bno kuch to murawatt sikho


Tum pe marte hain to kya maar hi dalo gy.


Wo behisaab jo pee ke kal sharaab aayaa




Wo behisaab jo pee ke kal sharaab aayaa
Agarche mast thaa mai.n par mujhe hijaab aayaa

Idhar Khayaal mere dil mein zulf kaa guzaraa
Udhar wo khaataa huaa dil mein pech-o-taab aayaa

Khayaal kis kaa samaayaa hai diidaa-o-dil mein
Na Dil ko chain mujhe aur na shab ko Khuwaab aayaa


Dil hi to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuN





Dil hi to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuN



Roenge ham hazaar baar koii hamen sataye kyuN



Wo bakashta hai gunah-e-azeem bhi lekin




Wo bakashta hai gunah-e-azeem bhi lekin,
hamari choti si neki sambhal rakhta hai.....

hum usse bhool jate hain roshni me,
wo andheron men bhi hamara khayal rakhta hai...

Jab kabhi der se loutun to meri maa ki tarah,
wo mere rizq ka hissa nikaal rakhta hai...

Gharon me jin ke diya bhi nahi hai lekin,
un k liye fiza me chand taare uchaal rakhta hai...

Mohabbat apne bando se kamal rakhta hai...
Wo Sirf Allah hai jo hum sab ka khayal rakhta hai


Ham hain mushtaq aur woh bezaar




Ham hain mushtaq aur woh bezaar


Ya ilaahee ! yeh maajra kya hai 


© POETRY LOVERS
Maira Gall